Surah Kausar Qur’an-e-Karim ki sabse choti surah hai. Ye Makki surah hai. Isme 1 ruku aur 3 ayat hain. Surah Kausar Qur’an ke 30th Parah mein aati hai. Surah Kausar ka dusra naam “An-Nahr” hai.
Ye surah Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par tab nazil hui thi jab Ahle Arab aapko “Abtar” keh ke pukarne lage, kyunki aapke betay ki wafat ho gayi thi. “Abtar” us shakhs ko kaha jata tha jiski koi aulad nahi hoti thi, jiski nasal khatam ho gayi ho. To jab aapko Ahle Arab “Abtar” kehne lage, to Allah Ta’ala ne aapko Kausar ata ki, yani Jannat ki neher.
Surah Kausar Ki Fazilat
Agar koi aapse dushmani ka iraada kare, ya koi narazgi ho ya koi pareshani ho, mali ho ya zehni ho, aulad ki mustaqbil se koi pareshani ho to ghabrana nahi, sabr karein, Allah par tawakkul karein aur Allah Ta’ala ki ye behtareen Surah Kausar ki tilawat karein. Is surat ka markazi maqsad ye hai ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam par nimaton ka zikr hai aur aapke maqam ki fazilat ka bayan hai. Uske baad aapko in nimaton ka kya karna chahiye, uska zikr hai ki aap shukrane ke tor par Allah Ta’ala ki ibadat karein aur bando ke huqooq ka khayal rakhein. Qurbani karne se ye surat parhne ka hukum hai. Surah Kausar Jannat ki neher hai jo Allah Ta’ala ne aapko ata ki, jisse aap Maidan-e-Hashar mein apne chahne walon ko pilayenge.
Surah Kausar Ka Mafhoom
Surah Kausar ka mafhoom ye hai ki Allah ne aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko Kausar ata kiya hai, yani Jannat ki neher. Allah Ta’ala ne apne pyare Nabi se namaz parh ne aur qurbani karne ka hukum diya hai Surah Kausar mein.
Surah Kausar in Hinglish:
Bismillaahir-Rahmanir-Raheem
Inna a’tainakaal-Kausar
Fasalli li rabbika wanhar
Inna shani’aka huwal-abtar.
Surah Kausar Ka Tarjuma:
Shuru karti hoon Allah ke naam se.
Beshak humne aapko Kausar di.
Pas apne Rab ke liye namaz parh aur qurbani kar.
Beshak aapka dushman hi be-nam-o-nishan hai.
Surah Kausar Ki Tafseer
Kausar ka lafzi ma’na hai “bohot zyada bhalai”. Aur Kausar Jannat ki us hauz ka naam bhi hai jo Huzoor-e-Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam ke tasarruf mein di jayegi, aur aapki ummat ke log usme serab honge. Hadith mein hai ke hauz par rakhe hue bartan itne zyada honge jitne aasman ke sitare. Yahan ye lafz agar “bohot zyada bhalai” ke maani mein liya jaye to humein bhalai mein Hauz-e-Kausar bhi shamil hai.
Qur’an-e-Kareem mein asal lafz “Abtar” hai. Iske lafzi ma’na hain: “jiski nasal kati hui ho”. Aur Arab ke log us shakhs ko “Abtar” kehte the jiski nasal aage na chale, yani jiski koi mardana aulad na ho. Jab Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke bete ka inteqal hua to aapke dushmanon ne, jinmein Aas bin Wail pesh tha, aapko ye taana diya ke nau’azullah aap Abtar hain, aur aapki nasal nahi chalegi. Iske jawab mein is aayat mein farmaaya gaya hai ke aapko Allah Ta’ala ne Kausar ata farmaayi hai, aapko mubarak zikar aur aapke deen ko aage chalane wale to beshumar honge, Abtar to aapka dushman hai jiska marne ke baad naam-o-nishan bhi nahi rahega. Chunancha aisa hi hua ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka tazkara aur aapki Seerat-e-Tayyiba to Alhamdulillah zinda-o-jawed hai, aur taana dene walon ko koi jaanta bhi nahi. Agar koi unka zikr bhi karta hai to burayi se karta hai.
Surah Kausar Ka Amal
Surah Kausar ko rozana apni zindagi mein shamil karein kyunki iski bohot fazilat hai. Islamic Jankari ke mutabiq, namaz mein is surah ki tilawat karein. Har namaz ke baad bhi Surah Kausar ki tilawat karein, isse barkat hasil hogi. Kabhi koi khauf ho ya koi pareshani ho, ye mushkilat pesh aaye to is surat ka tilawat karein. Insha’Allah, Islamic Jankari ke zariye, zarur in chizon se nijaat milega.